Tuesday, 3 January 2012

Mujhe zindagi ki dua na dy








Tujhe naaz hai k mein husn hun
Mere gulistan ko zwaal kiya ..

Mujhe fakhr hai k mein ishq hun
Jo jala na dun to kamal kiya ...

Mujhe zindagi ki dua na dy
Mujhe Zindagi ki talab nahi ...

Meri moot ko jo taal dy
Es zindagi ki majaal kiya ...

Hamain manzilon ki khabar nahi
Hamain Rah-guzar ki talash hai ...

Es Rah-guzar py jo nikal pary
To urooj kiya or zwaal kiya ...

Thi jo ek Ada-e-Dilbari
Sari umer usi py waar di ...

Teri Yaad mein sab guzar gaye ...

Shab-o-Roz kiya ... 
Mah-O-Saal kiya .....:(

0 comments:

Post a Comment